dard ka shahr hai arman ki baaten kar len
dard kā shahr hai armān kī bāteñ kar leñ
saare rauñde hue insān kī bāteñ kar leñ
ġham-o-ālām kī likkhī hai kahānī ham ne
bazm-e-ahbāb meñ unvān kī bāteñ kar leñ
ḳhud-ġharaz logoñ meñ hātim ko kahāñ DhūñDeñ ham
kū-e-iflās meñ imkān kī bāteñ kar leñ
naf-o-nuqsāñ se sarokār nahīñ hai ham ko
ḳhādim-e-ḳhalq haiñ ehsān kī bāteñ kar leñ
munsif-e-vaqt agar kho gayā tārīkī meñ
tāroñ kī chhāñv meñ mīzān kī bāteñ kar leñ
aaj mahfil meñ chale aa.e haiñ 'jāmī' kaise
un se ham vaqt ke bohrān kī bāteñ kar leñ
dard ka shahr hai arman ki baaten kar len
sare raunde hue insan ki baaten kar len
gham-o-alam ki likkhi hai kahani hum ne
bazm-e-ahbab mein unwan ki baaten kar len
KHud-gharaz logon mein hatim ko kahan DhunDen hum
ku-e-iflas mein imkan ki baaten kar len
naf-o-nuqsan se sarokar nahin hai hum ko
KHadim-e-KHalq hain ehsan ki baaten kar len
munsif-e-waqt agar kho gaya tariki mein
taron ki chhanw mein mizan ki baaten kar len
aaj mahfil mein chale aae hain 'jami' kaise
un se hum waqt ke bohran ki baaten kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.