dard ke chand ki taswir ghazal mein aae
dard ke chāñd kī tasvīr ġhazal meñ aa.e
sher likkhūñ to ye tāsīr ġhazal meñ aa.e
sunte aa.e haiñ bahut zikr hasīñ ḳhvāboñ kā
ab kisī ḳhvāb kī ta.abīr ġhazal meñ aa.e
un ke chehre ko maiñ is tarah paḌhā kartā huuñ
jaise ġham kī koī tafsīr ġhazal meñ aa.e
khet khaliyān se jab sāñvlī sūrat lauTe
surma.ī shaam kī tanvīr ġhazal meñ aa.e
apne kirdār kā kuchh aks to jhalke 'anjum'
aa.ine kī koī tahrīr ġhazal meñ aa.e
dard ke chand ki taswir ghazal mein aae
sher likkhun to ye tasir ghazal mein aae
sunte aae hain bahut zikr hasin KHwabon ka
ab kisi KHwab ki tabir ghazal mein aae
un ke chehre ko main is tarah paDha karta hun
jaise gham ki koi tafsir ghazal mein aae
khet khaliyan se jab sanwli surat lauTe
surmai sham ki tanwir ghazal mein aae
apne kirdar ka kuchh aks to jhalke 'anjum'
aaine ki koi tahrir ghazal mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.