dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
dard ke dā.imī rishtoñ se lipaT jaate haiñ
aks rote haiñ to shīshoñ se lipaT jaate haiñ
haa.e vo log jinheñ ham ne bhulā rakkhā hai
yaad aate haiñ to sāñsoñ se lipaT jaate haiñ
kis ke pairoñ ke nishāñ haiñ ki musāfir bhī ab
manzileñ bhuul ke rastoñ se lipaT jaate haiñ
jab vo rotā hai to yak-laḳht mirī pyaas ke hoñT
us kī āñkhoñ ke kināroñ se lipaT jaate haiñ
jab unheñ niiñd panāheñ nahīñ detī haiñ 'asad'
ḳhvāb phir jāgtī āñkhoñ se lipaT jaate haiñ
dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
aks rote hain to shishon se lipaT jate hain
hae wo log jinhen hum ne bhula rakkha hai
yaad aate hain to sanson se lipaT jate hain
kis ke pairon ke nishan hain ki musafir bhi ab
manzilen bhul ke raston se lipaT jate hain
jab wo rota hai to yak-laKHt meri pyas ke honT
us ki aankhon ke kinaron se lipaT jate hain
jab unhen nind panahen nahin deti hain 'asad'
KHwab phir jagti aankhon se lipaT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.