dard ki chaukhaT pe aa kar yun sada deta hai kaun
dard kī chaukhaT pe aa kar yuuñ sadā detā hai kaun
raat ke pichhle pahar mujh ko jagā detā hai kaun
ḳhuun ke dariyā fazāoñ meñ bahā detā hai kaun
roz sūraj ko yahāñ suulī chaḌhā detā hai kaun
mere kamre kā ujālā sochtā rah jaatā hai
raat hote hī yahāñ parda girā detā hai kaun
mujh ko bistar se uThā kar sub.h hone ke qarīb
din kī saarī talḳhiyāñ mujh ko pilā detā hai kaun
dekhte hī dekhte din ke bhare bāzār meñ
āḳhir āḳhir shab kī mash'al se jalā detā hai kaun
chauñk uThtā hai ḳhudā bhī āsmānoñ kā zavāl
‘arsh-e-ā’zam ko bhī aksar yuuñ hilā detā hai kaun
ḳhuun rote jā.iye har ik ghaḌī 'ḳhātir' kahāñ
nā-shanāsoñ kī hai bastī ḳhūñ-bahā detā hai kaun
dard ki chaukhaT pe aa kar yun sada deta hai kaun
raat ke pichhle pahar mujh ko jaga deta hai kaun
KHun ke dariya fazaon mein baha deta hai kaun
roz suraj ko yahan suli chaDha deta hai kaun
mere kamre ka ujala sochta rah jata hai
raat hote hi yahan parda gira deta hai kaun
mujh ko bistar se uTha kar subh hone ke qarib
din ki sari talKHiyan mujh ko pila deta hai kaun
dekhte hi dekhte din ke bhare bazar mein
aaKHir aaKHir shab ki mash'al se jala deta hai kaun
chaunk uThta hai KHuda bhi aasmanon ka zawal
‘arsh-e-a’zam ko bhi aksar yun hila deta hai kaun
KHun rote jaiye har ek ghaDi 'KHatir' kahan
na-shanason ki hai basti KHun-baha deta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.