dard ki dawa mujh mein
dard kī davā mujh meñ
dard-e-lā-davā mujh meñ
ḳhvāb aur abābīleñ
ḳhauf aur ḳhatā mujh meñ
husn aur hasīnā.eñ
jurm aur sazā mujh meñ
dard aur havā maujūd
zaḳhm aur ḳhalā mujh meñ
be-kasī-o-tanhā.ī
sabr aur razā mujh meñ
dasht aur vīrānī
jaise karbalā mujh meñ
ret ret dariyā aur
mauj-e-naqsh-e-pā mujh meñ
maiñ hī merā maqtal huuñ
merā sar kaTā mujh meñ
dard ki dawa mujh mein
dard-e-la-dawa mujh mein
KHwab aur ababilen
KHauf aur KHata mujh mein
husn aur hasinaen
jurm aur saza mujh mein
dard aur hawa maujud
zaKHm aur KHala mujh mein
be-kasi-o-tanhai
sabr aur raza mujh mein
dasht aur virani
jaise karbala mujh mein
ret ret dariya aur
mauj-e-naqsh-e-pa mujh mein
main hi mera maqtal hun
mera sar kaTa mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.