dard ki lahar chamke
dard kī lahar chamke
phir vo dopahar chamke
hai kahāñ shab-e-vīrāñ
aa.e mere ghar chamke
yaad kī havelī ke
saare bām-o-dar chamke
ḳhvāb kā sahar ma.alūm
ham bhī dar-ba-dar chamke
saath mere ashkoñ ke
ghar ke bām-o-dar chamke
us kī mauj ke aage
kyā koī bhañvar chamke
maiñ nahīñ huā āzād
kitne hī hunar chamke
bistaraoñ pe vīrānī
jangaloñ meñ ghar chamke
phir huī havā raushan
zulmatoñ ke par chamke
jaane kis añdhere meñ
āḳhrī sahar chamke
dard ki lahar chamke
phir wo dopahar chamke
hai kahan shab-e-viran
aae mere ghar chamke
yaad ki haweli ke
sare baam-o-dar chamke
KHwab ka sahar malum
hum bhi dar-ba-dar chamke
sath mere ashkon ke
ghar ke baam-o-dar chamke
us ki mauj ke aage
kya koi bhanwar chamke
main nahin hua aazad
kitne hi hunar chamke
bistaraon pe virani
jangalon mein ghar chamke
phir hui hawa raushan
zulmaton ke par chamke
jaane kis andhere mein
aaKHri sahar chamke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.