dard ki naw ko aankhon ke samundar se nikal
dard kī naav ko āñkhoñ ke samundar se nikāl
tab kisī zaḳhm kī zanjīr ko langar se nikāl
apnī āñkhoñ ko sar-e-shahr-e-tamāshā na banā
apnī shikneñ kabhī peshānī-e-chādar se nikāl
ġham ke saa.e meñ na baiThegā kabhī ḳhāna-ba-dosh
dhuup hī is kā muqaddar hai ise ghar se nikāl
tū hī qādir hai tū is vahshat-e-dil kī ḳhātir
ab ye sahrā-e-sitam mere muqaddar se nikāl
shor chubhtā hai hamesha se mire kānoñ ko
ab ye sannāTā mirī ruuh ke andar se nikāl
merī āñkheñ bhī kabhī niiñd kī lazzat chakh leñ
merī āñkheñ bhī kabhī ḳhvāb ke manzar se nikāl
māntā hī nahīñ ve baat kabhī bhī merī
bārhā maiñ ne kahā paañv na chādar se nikāl
baad meñ baiTh ke shiknoñ ko miTā ai 'shārib'
pahle āvāra tamannāoñ ko bistar se nikāl
dard ki naw ko aankhon ke samundar se nikal
tab kisi zaKHm ki zanjir ko langar se nikal
apni aankhon ko sar-e-shahr-e-tamasha na bana
apni shiknen kabhi peshani-e-chadar se nikal
gham ke sae mein na baiThega kabhi KHana-ba-dosh
dhup hi is ka muqaddar hai ise ghar se nikal
tu hi qadir hai tu is wahshat-e-dil ki KHatir
ab ye sahra-e-sitam mere muqaddar se nikal
shor chubhta hai hamesha se mere kanon ko
ab ye sannaTa meri ruh ke andar se nikal
meri aankhen bhi kabhi nind ki lazzat chakh len
meri aankhen bhi kabhi KHwab ke manzar se nikal
manta hi nahin we baat kabhi bhi meri
barha main ne kaha panw na chadar se nikal
baad mein baiTh ke shiknon ko miTa ai 'shaarib'
pahle aawara tamannaon ko bistar se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.