dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab
dard kī niilī rageñ yādoñ meñ jalne ke sabab
saarī chīḳheñ rok letī haiñ sambhalne ke sabab
dard kī niilī rageñ to shor kartī haiñ bahut
paikar-e-nāzuk meñ is dil ke machalne ke sabab
dard kī niilī rageñ barfāb bistar meñ paḌī
TuuT jaatī haiñ tire ḳhvāboñ meñ chalne ke sabab
dard kī niilī rageñ umroñ ke niile pher ko
zard kartī jaatī haiñ sahrā meñ palne ke sabab
dard kī niilī rageñ hāthoñ meñ do-shīzāoñ ke
chūḌiyāñ tak toḌ detī haiñ bikharne ke sabab
dard kī niilī rageñ ThanDī havā se ashk-rez
surḳh hotī rahtī haiñ aañsū nigalne ke sabab
dard kī niilī rageñ 'naināñ' samundar ban ga.iiñ
hijr kī rātoñ kā pahlā chāñd Dhalne ke sabab
dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab
sari chiKHen rok leti hain sambhalne ke sabab
dard ki nili ragen to shor karti hain bahut
paikar-e-nazuk mein is dil ke machalne ke sabab
dard ki nili ragen barfab bistar mein paDi
TuT jati hain tere KHwabon mein chalne ke sabab
dard ki nili ragen umron ke nile pher ko
zard karti jati hain sahra mein palne ke sabab
dard ki nili ragen hathon mein do-shizaon ke
chuDiyan tak toD deti hain bikharne ke sabab
dard ki nili ragen ThanDi hawa se ashk-rez
surKH hoti rahti hain aansu nigalne ke sabab
dard ki nili ragen 'nainan' samundar ban gain
hijr ki raaton ka pahla chand Dhalne ke sabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.