dard ko kitna chain mila hai parwanon ki mahfil mein
dard ko kitna chain mila hai parwanon ki mahfil mein
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
dard ko kitnā chain milā hai parvānoñ kī mahfil meñ
chāragarī dam toḌ ga.ī hai nā-dānoñ kī mahfil meñ
apnoñ kī mahfil meñ dil par tanz ke nashtar barse haiñ
kis darja iḳhlās milā hai begānoñ kī mahfil meñ
aaj vafā par zikr kareñge ahl-e-ḳhirad se dīvāne
aaj junūñ kī sham.a jalegī farzānoñ kī mahfil meñ
ab ke ham bhī vahshat-e-dil ko bahlāne le jā.eñge
ab ke bahāreñ raqs kareñgī vīrānoñ kī mahfil meñ
chāñd kī kirnoñ kī bāhoñ meñ sone vaale jaag uTheñ
halchal mach jaa.e na mere armānoñ kī mahfil meñ
ham saudāgar ashk-e-vafā ke kaun hameñ pahchānegā
kaun haqīqat ko samjhegā afsānoñ kī mahfil meñ
dar-dar ham ne Thokareñ khā.īñ dair-o-haram bhī ghuum aa.e
'rāje' magar insān mile haiñ paimānoñ kī mahfil meñ
dard ko kitna chain mila hai parwanon ki mahfil mein
chaaragari dam toD gai hai na-danon ki mahfil mein
apnon ki mahfil mein dil par tanz ke nashtar barse hain
kis darja iKHlas mila hai beganon ki mahfil mein
aaj wafa par zikr karenge ahl-e-KHirad se diwane
aaj junun ki shama jalegi farzanon ki mahfil mein
ab ke hum bhi wahshat-e-dil ko bahlane le jaenge
ab ke bahaaren raqs karengi viranon ki mahfil mein
chand ki kirnon ki bahon mein sone wale jag uThen
halchal mach jae na mere armanon ki mahfil mein
hum saudagar ashk-e-wafa ke kaun hamein pahchanega
kaun haqiqat ko samjhega afsanon ki mahfil mein
dar-dar hum ne Thokaren khain dair-o-haram bhi ghum aae
'raje' magar insan mile hain paimanon ki mahfil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.