dard kuchh din to mehman Thahre
dard kuchh din to mehmāñ Thahre
ham ba-zid haiñ ki mezbāñ Thahre
sirf tanhā.ī sirf vīrānī
ye nazar jab uThe jahāñ Thahre
kaun se zaḳhm par paḌāv kiyā
dard ke qāfile kahāñ Thahre
kaise dil meñ ḳhushī basā luuñ maiñ
kaise muTThī meñ ye dhuāñ Thahre
thī kahīñ maslahat kahīñ jur.at
ham kahīñ in ke darmiyāñ Thahre
dard kuchh din to mehman Thahre
hum ba-zid hain ki mezban Thahre
sirf tanhai sirf virani
ye nazar jab uThe jahan Thahre
kaun se zaKHm par paDaw kiya
dard ke qafile kahan Thahre
kaise dil mein KHushi basa lun main
kaise muTThi mein ye dhuan Thahre
thi kahin maslahat kahin jurat
hum kahin in ke darmiyan Thahre
- Book : LAVA (Pg. 143)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.