dard mein lab par aah na lana sab ke bas ki baat nahin
dard mein lab par aah na lana sab ke bas ki baat nahin
Mayank Akbarabadi
MORE BYMayank Akbarabadi
dard meñ lab par aah na laanā sab ke bas kī baat nahīñ
hañste hañste ashk chhupānā sab ke bas kī baat nahīñ
ham ne ik zālim ko apnā dil de kar ye jaanā hai
patthar se shīsha Takrānā sab ke bas kī baat nahīñ
shām-e-alam palkoñ par apnī raushan haiñ ashkoñ ke diye
yuuñ chāhat kā jashn manānā sab ke bas kī baat nahīñ
duniyā kī parvāh na kar ke ham ne pyaar kiyā un se
dosh-e-havā pe diip jalānā sab ke bas kī baat nahīñ
gulshan se gul chun ke sajānā apne ghar ko āsāñ hai
sahrā sahrā phuul khilānā sab ke bas kī baat nahīñ
haa.e vo lab ḳhāmosh kisī ke uf vo kisī kī nīchī nazar
kuchh bhī na kah kar sab kah jaanā sab ke bas kī baat nahīñ
jo bhī kahā vo kar ke dikhāyā ham ne mohabbat meñ ai 'mayank'
kahnā aur phir kar ke dikhānā sab ke bas kī baat nahīñ
dard mein lab par aah na lana sab ke bas ki baat nahin
hanste hanste ashk chhupana sab ke bas ki baat nahin
hum ne ek zalim ko apna dil de kar ye jaana hai
patthar se shisha Takrana sab ke bas ki baat nahin
sham-e-alam palkon par apni raushan hain ashkon ke diye
yun chahat ka jashn manana sab ke bas ki baat nahin
duniya ki parwah na kar ke hum ne pyar kiya un se
dosh-e-hawa pe dip jalana sab ke bas ki baat nahin
gulshan se gul chun ke sajaana apne ghar ko aasan hai
sahra sahra phul khilana sab ke bas ki baat nahin
hae wo lab KHamosh kisi ke uf wo kisi ki nichi nazar
kuchh bhi na kah kar sab kah jaana sab ke bas ki baat nahin
jo bhi kaha wo kar ke dikhaya hum ne mohabbat mein ai 'mayank'
kahna aur phir kar ke dikhana sab ke bas ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.