dard mile chehra khil jae
dard mile chehra khil jaa.e
dil TuuTe āvāz na aa.e
vo lagtā hai sūraj jaisā
us se nazreñ kaun milā.e
aise dost ko kyā kahiye jo
dil meñ rahe aur dil ko jalā.e
der talak dil sañbhal na paayā
un se mil kar ham ghabrā.e
lab sī le aur aañsū pī jā
go jiinā dūbhar ho jaa.e
ġham dil meñ is tarh chhupā le
chehra koī paḌhne na paa.e
us se 'vajāhat' ab kyā milnā
jis se mil kar dil pachhtā.e
dard mile chehra khil jae
dil TuTe aawaz na aae
wo lagta hai suraj jaisa
us se nazren kaun milae
aise dost ko kya kahiye jo
dil mein rahe aur dil ko jalae
der talak dil sanbhal na paya
un se mil kar hum ghabrae
lab si le aur aansu pi ja
go jina dubhar ho jae
gham dil mein is tarh chhupa le
chehra koi paDhne na pae
us se 'wajahat' ab kya milna
jis se mil kar dil pachhtae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.