dard-o-alam ke naghmat ko gane se mili
dard-o-ālām ke naġhmāt ko gaane se milī
kuchh to rāhat tujhe ash.ār sunāne se milī
maiñ to har haal meñ huuñ terī vafā kā tālib
kitnī rāhat tujhe dil merā dukhāne se milī
raah tārīk hai manzil kā nishāñ hai mādūm
raushnī dil ke charāġhoñ ko jalāne se milī
ham ne jazbāt ko qaabū meñ hamesha rakkhā
kuchh aziyyat hameñ rishtoñ ko nibhāne se milī
kyoñ na barbādī-e-gulshan pe bahā.ūñ aañsū
jis ko shādābī lahū dil kā jalāne se milī
ye alag baat ki āsā.ish-e-duniyā hai bahut
dil ko taskīn tire lauT ke aane se milī
ik zarā ma.arifat-e-haq kī tajallī 'ajmal'
sar-e-taslīm ba-sad-shauq jhukāne se milī
dard-o-alam ke naghmat ko gane se mili
kuchh to rahat tujhe ashaar sunane se mili
main to har haal mein hun teri wafa ka talib
kitni rahat tujhe dil mera dukhane se mili
rah tarik hai manzil ka nishan hai madum
raushni dil ke charaghon ko jalane se mili
hum ne jazbaat ko qabu mein hamesha rakkha
kuchh aziyyat hamein rishton ko nibhane se mili
kyon na barbaadi-e-gulshan pe bahaun aansu
jis ko shadabi lahu dil ka jalane se mili
ye alag baat ki aasaish-e-duniya hai bahut
dil ko taskin tere lauT ke aane se mili
ek zara marifat-e-haq ki tajalli 'ajmal'
sar-e-taslim ba-sad-shauq jhukane se mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.