dard-o-alam ki bhuk badan se nichoD le
dard-o-alam kī bhuuk badan se nichoḌ le
ye jism merā āḳhirī chādar na oḌh le
aa is se qabl ruuh badal Daale āshiyāñ
dil phir kahīñ umiid se rishta na toḌ le
kartā nahīñ maiñ zikr bhī hālāt-e-hāl kā
phir tū nadāmatoñ ke sabab sar na phoḌ le
aisā na ho maiñ chhoḌ ke duniyā tujhe milūñ
aisā na ho ki tū bhī kahīñ muñh hī moḌ le
kah de to maiñ dikhā duuñ tujhe dil ke aable
ghabrā ke phir na tū kahīñ bhauñ.eñ sikoḌ le
'āzād' TuuT jaa.e na sāñsoñ kā silsila
kis ne kahā thā us ko tū sāñsoñ se joḌ le
dard-o-alam ki bhuk badan se nichoD le
ye jism mera aaKHiri chadar na oDh le
aa is se qabl ruh badal Dale aashiyan
dil phir kahin umid se rishta na toD le
karta nahin main zikr bhi haalat-e-haal ka
phir tu nadamaton ke sabab sar na phoD le
aisa na ho main chhoD ke duniya tujhe milun
aisa na ho ki tu bhi kahin munh hi moD le
kah de to main dikha dun tujhe dil ke aable
ghabra ke phir na tu kahin bhaunen sikoD le
'azad' TuT jae na sanson ka silsila
kis ne kaha tha us ko tu sanson se joD le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.