dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-tab aur bhi hain
dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-tab aur bhi hain
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
dard-o-ġham aur bhī haiñ ranj-o-ta.ab aur bhī haiñ
qalb zinda ho to sāmān-e-tarab aur bhī haiñ
bāñkpan in meñ magar zauq-e-junūñ kā sā kahāñ
daftar-e-aql meñ go ziist ke Dhab aur bhī haiñ
terī nazroñ hī pe ilzām nahīñ hai ai dost
kuchh mirī ḳhāna-ḳharābī ke sabab aur bhī haiñ
azmat-e-chāk-e-garebāñ se to inkār nahīñ
vahshat-e-dil ke taqāze magar ab aur bhī haiñ
ġhuncha-o-shīsha-o-sāġhar hī pe mauqūf nahīñ
dil ke naam aur bhī haiñ dil ke laqab aur bhī haiñ
ai ḳham-e-gesū-e-jānāñ meñ ulajhne vaalo
mas.ale dahr meñ tashrīh-talab aur bhī haiñ
dil kā ḳhuuñ honā bhī ik amr-e-ta.ajjub hai magar
ishq meñ aise maqāmāt-e-ajab aur bhī haiñ
sub.h-e-nau un pe bhī kuchh lutf-o-karam ho jaa.e
justujū meñ tirī ġham-dīda-e-shab aur bhī haiñ
mere hī nāloñ pe vo chīñ-ba-jabīñ hote haiñ
varna mahfil meñ ka.ī nāla-ba-lab aur bhī haiñ
'manshā' ik tum hī nahīñ ho ġham-e-hastī ke shikār
kitne arbāb-e-fan-o-ilm-o-adab aur bhī haiñ
dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-tab aur bhi hain
qalb zinda ho to saman-e-tarab aur bhi hain
bankpan in mein magar zauq-e-junun ka sa kahan
daftar-e-aql mein go zist ke Dhab aur bhi hain
teri nazron hi pe ilzam nahin hai ai dost
kuchh meri KHana-KHarabi ke sabab aur bhi hain
azmat-e-chaak-e-gareban se to inkar nahin
wahshat-e-dil ke taqaze magar ab aur bhi hain
ghuncha-o-shisha-o-saghar hi pe mauquf nahin
dil ke nam aur bhi hain dil ke laqab aur bhi hain
ai KHam-e-gesu-e-jaanan mein ulajhne walo
masale dahr mein tashrih-talab aur bhi hain
dil ka KHun hona bhi ek amr-e-tajjub hai magar
ishq mein aise maqamat-e-ajab aur bhi hain
subh-e-nau un pe bhi kuchh lutf-o-karam ho jae
justuju mein teri gham-dida-e-shab aur bhi hain
mere hi nalon pe wo chin-ba-jabin hote hain
warna mahfil mein kai nala-ba-lab aur bhi hain
'mansha' ek tum hi nahin ho gham-e-hasti ke shikar
kitne arbab-e-fan-o-ilm-o-adab aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.