dard-o-gham aur muflisi achchhi nahin
dard-o-ġham aur muflisī achchhī nahīñ
vaqt kī ye dil-lagī achchhī nahīñ
phuul ban kar vo chaman mahkā.egī
shāḳh se TuuTī kalī achchhī nahīñ
qīmtī sāñsoñ ko maqsad dījiye
be-sabab sī zindagī achchhī nahīñ
aañkh se aañsū chhalak jaate yahāñ
had se zyāda bhī hañsī achchhī nahīñ
dhaḌkaneñ baḌhtī haiñ un ko dekh kar
dil se dil kī muḳhbirī achchhī nahīñ
aadmī ban kar raho do-chār din
sau baras kī zindagī achchhī nahīñ
log kahte aadmī to Thiik hai
par 'dharam' kī shā.erī achchhī nahīñ
dard-o-gham aur muflisi achchhi nahin
waqt ki ye dil-lagi achchhi nahin
phul ban kar wo chaman mahkaegi
shaKH se TuTi kali achchhi nahin
qimti sanson ko maqsad dijiye
be-sabab si zindagi achchhi nahin
aankh se aansu chhalak jate yahan
had se zyaada bhi hansi achchhi nahin
dhaDkanen baDhti hain un ko dekh kar
dil se dil ki muKHbiri achchhi nahin
aadmi ban kar raho do-chaar din
sau baras ki zindagi achchhi nahin
log kahte aadmi to Thik hai
par 'dharam' ki shaeri achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.