dard-o-gham ka aapko bhi tajraba ho jaega
dard-o-ġham kā aap ko bhī tajraba ho jā.egā
ziist kī jab talḳhiyoñ se sāmnā ho jā.egā
chhoḌ jā parchhā.iyāñ biite hue lamhāt kī
kuchh to jiine kā mujhe bhī aasrā ho jā.egā
chhīn le mujh se mirā ehsās bhī ai zindagī
āḳhirī ehsān mujh pe ye tirā ho jā.egā
khul hī jā.egā bharam ahbāb ke iḳhlās kā
gardish-e-daurāñ meñ jab tū mubtalā ho jā.egā
tū bhī kuchh ilzām de ai dost auroñ kī tarah
kuchh nahīñ to dostī kā haq adā ho jā.egā
toḌ dī ummīd kī baisākhiyāñ hālāt ne
kaun jaane kis ghaḌī kyā hādisa ho jā.egā
naaz thā jis kī vafāoñ par bahut 'sājid' hameñ
kyā ḳhabar thī vo bhī ik din bevafā ho jā.egā
dard-o-gham ka aap ko bhi tajraba ho jaega
zist ki jab talKHiyon se samna ho jaega
chhoD ja parchhaiyan bite hue lamhat ki
kuchh to jine ka mujhe bhi aasra ho jaega
chhin le mujh se mera ehsas bhi ai zindagi
aaKHiri ehsan mujh pe ye tera ho jaega
khul hi jaega bharam ahbab ke iKHlas ka
gardish-e-dauran mein jab tu mubtala ho jaega
tu bhi kuchh ilzam de ai dost auron ki tarah
kuchh nahin to dosti ka haq ada ho jaega
toD di ummid ki baisakhiyan haalat ne
kaun jaane kis ghaDi kya hadisa ho jaega
naz tha jis ki wafaon par bahut 'sajid' hamein
kya KHabar thi wo bhi ek din bewafa ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.