dard-o-gham ka bayan nahin malum
dard-o-ġham kā bayāñ nahīñ ma.alūm
pyaar kī dāstāñ nahīñ ma.alūm
raah meñ ham akele baiThe haiñ
kab gayā kārvāñ nahīñ ma.alūm
hashr-sāmāñ haiñ aaj ke hālāt
hoñge kal ham kahāñ nahīñ ma.alūm
ehtirāman haiñ log jaur pe chup
kab khulegī zabāñ nahīñ ma.alūm
dil zamāne se ham lagā baiThe
us kā sūd-o-ziyāñ nahīñ mālūm
hai dhuāñ chimniyoñ kā shahr meñ yā
jal rahe haiñ makāñ nahīñ ma.alūm
dard bāñTeñge kyā vo duniyā ke
jin ko dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
zaḳhm hī is zamīñ ne baḳhshe haiñ
degā kyā āsmāñ nahīñ ma.alūm
suulī par ham ko jab chaḌhā.eñge
hogā kaisā samāñ nahīñ ma.alūm
aish-o-ishrat ke ḳhūgaro tum ko
soz-e-dard-e-nihāñ nahīñ mālūm
qātil-e-shahr haiñ vahī ye raaz
hogā kyūñkar ayaañ nahīñ ma.alūm
dekhte haiñ vo kahkashāñ har shab
kyā hai ashk-e-ravāñ nahīñ ma.alūm
kis ne poñchhe haiñ ashk mere dost
kaun thā mehrbāñ nahīñ mālūm
ghar se tanhā chale the ham 'shāġhil'
kyuuñ banā kārvāñ nahīñ ma.alūm
dard-o-gham ka bayan nahin malum
pyar ki dastan nahin malum
rah mein hum akele baiThe hain
kab gaya karwan nahin malum
hashr-saman hain aaj ke haalat
honge kal hum kahan nahin malum
ehtiraman hain log jaur pe chup
kab khulegi zaban nahin malum
dil zamane se hum laga baiThe
us ka sud-o-ziyan nahin malum
hai dhuan chimniyon ka shahr mein ya
jal rahe hain makan nahin malum
dard banTenge kya wo duniya ke
jin ko dard-e-nihan nahin malum
zaKHm hi is zamin ne baKHshe hain
dega kya aasman nahin malum
suli par hum ko jab chaDhaenge
hoga kaisa saman nahin malum
aish-o-ishrat ke KHugaro tum ko
soz-e-dard-e-nihan nahin malum
qatil-e-shahr hain wahi ye raaz
hoga kyunkar ayan nahin malum
dekhte hain wo kahkashan har shab
kya hai ashk-e-rawan nahin malum
kis ne ponchhe hain ashk mere dost
kaun tha mehrban nahin malum
ghar se tanha chale the hum 'shaghil'
kyun bana karwan nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.