Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-o-gham ki hikayaten mat puchh

Nuzhat Abbasi

dard-o-gham ki hikayaten mat puchh

Nuzhat Abbasi

MORE BYNuzhat Abbasi

    dard-o-ġham hikāyateñ mat pūchh

    dil pe guzrī qayāmateñ mat pūchh

    saarī koshish hai be-husūl tirī

    zaḳhm-e-dil jarāhateñ mat pūchh

    ik nazar meñ na jaane kyā dekhā

    ham se āñkhoñ hairateñ mat pūchh

    zarre zarre meñ hai tirī sūrat

    ham se apnī shabāhateñ mat pūchh

    ham ne sadiyāñ guzār diiñ is meñ

    ek pal rifāqateñ mat pūchh

    yaad rakhnā to hai kamāl tirā

    bhuul jaane ādateñ mat pūchh

    hai mohabbat to e'tibār bhī kar

    har amal vazāhateñ mat pūchh

    dard-o-gham ki hikayaten mat puchh

    dil pe guzri qayamaten mat puchh

    sari koshish hai be-husul teri

    zaKHm-e-dil ki jarahaten mat puchh

    ek nazar mein na jaane kya dekha

    hum se aankhon ki hairaten mat puchh

    zarre zarre mein hai teri surat

    hum se apni shabahaten mat puchh

    hum ne sadiyan guzar din is mein

    ek pal ki rifaqaten mat puchh

    yaad rakhna to hai kamal tera

    bhul jaane ki aadaten mat puchh

    hai mohabbat to e'tibar bhi kar

    har amal ki wazahaten mat puchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now