dard-o-gham ki qaid se rah-e-mafar koi nahin
dard-o-ġham kī qaid se rāh-e-mafar koī nahīñ
ye vo ghar hai jis kī dīvāroñ meñ dar koī nahīñ
rāste masdūd hote jā rahe haiñ bhiiḌ se
aao us jānib hī chalte haiñ jidhar koī nahīñ
qatl chorī ābrū-rezī ḳhasāre kā bajaT
aaj ke aḳhbār meñ achchhī ḳhabar koī nahīñ
mas.aloñ kī maar se chehre haiñ murjhā.e hue
aisā lagtā hai jahāñ meñ be-zarar koī nahīñ
is qadar firqa-parastī har galī har moḌ par
nafratoñ ke shahr meñ mahfūz ghar koī nahīñ
pūchhtī haiñ zard āñkheñ muflisī kī oT se
kyā sunahre ḳhvāb kā ab naqsh-gar koī nahīñ
toḌ kar rishtoñ ke bandhan chhoḌ jaate haiñ sabhī
saath detā hai 'sharāfat' umr bhar koī nahīñ
dard-o-gham ki qaid se rah-e-mafar koi nahin
ye wo ghar hai jis ki diwaron mein dar koi nahin
raste masdud hote ja rahe hain bhiD se
aao us jaanib hi chalte hain jidhar koi nahin
qatl chori aabru-rezi KHasare ka bajaT
aaj ke aKHbar mein achchhi KHabar koi nahin
masalon ki mar se chehre hain murjhae hue
aisa lagta hai jahan mein be-zarar koi nahin
is qadar firqa-parasti har gali har moD par
nafraton ke shahr mein mahfuz ghar koi nahin
puchhti hain zard aankhen muflisi ki oT se
kya sunahre KHwab ka ab naqsh-gar koi nahin
toD kar rishton ke bandhan chhoD jate hain sabhi
sath deta hai 'sharafat' umr bhar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.