dard-o-gham se dil-shikasta ho to ho
dard-o-ġham se dil-shikasta ho to ho
phir purānā zaḳhm taaza ho to ho
bhuuk kahtī hai ki kaasa thaam le
zarf kahtā hai ki faaqa ho to ho
shahroñ shahroñ qātiloñ kī bhiiḌ hai
gaañv meñ koī farishta ho to ho
zālimoñ ke ghar ujālā ho gayā
apnī duniyā meñ añdherā ho to ho
ham ko karnā hai ilāj-e-dard-e-dil
un kī ḳhātir gar masīhā ho to ho
vo kareñge apne haq meñ faisla
aur sansad meñ tamāsha ho to ho
is sadī ke mīr-ja.afar DhūñD lo
chāhe is meñ kuchh ḳhasāra ho to ho
ham na apnā tarz badleñge kabhī
ham se ye aalam kashīda ho to ho
baat hai 'irfān' ye insāf kī
vo ḳhafā hotā hai to kyā ho to ho
dard-o-gham se dil-shikasta ho to ho
phir purana zaKHm taza ho to ho
bhuk kahti hai ki kasa tham le
zarf kahta hai ki faqa ho to ho
shahron shahron qatilon ki bhiD hai
ganw mein koi farishta ho to ho
zalimon ke ghar ujala ho gaya
apni duniya mein andhera ho to ho
hum ko karna hai ilaj-e-dard-e-dil
un ki KHatir gar masiha ho to ho
wo karenge apne haq mein faisla
aur sansad mein tamasha ho to ho
is sadi ke mir-jafar DhunD lo
chahe is mein kuchh KHasara ho to ho
hum na apna tarz badlenge kabhi
hum se ye aalam kashida ho to ho
baat hai 'irfan' ye insaf ki
wo KHafa hota hai to kya ho to ho
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 23)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.