dard-o-gham ya kisi KHushi ki taraf
dard-o-gham ya kisi KHushi ki taraf
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
dard-o-ġham yā kisī ḳhushī kī taraf
ek ho jā.ūñ maiñ kisī kī taraf
gum na ho jā.ūñ in añdheroñ meñ
mujh ko le jaao raushnī kī taraf
ek sūrat ko dekhne ke baad
maiñ ne dekhā nahīñ kisī kī taraf
pyaas dariyāoñ kī hai merī magar
ek qatra hai tishnagī kī taraf
vo to mahloñ meñ rahne vaale haiñ
vo na dekheñge jhoñpḌī kī taraf
mujh ko ranjūr hī nazar aa.ī
jab bhī dekhā hai zindagī kī taraf
dard-o-gham ya kisi KHushi ki taraf
ek ho jaun main kisi ki taraf
gum na ho jaun in andheron mein
mujh ko le jao raushni ki taraf
ek surat ko dekhne ke baad
main ne dekha nahin kisi ki taraf
pyas dariyaon ki hai meri magar
ek qatra hai tishnagi ki taraf
wo to mahlon mein rahne wale hain
wo na dekhenge jhonpDi ki taraf
mujh ko ranjur hi nazar aai
jab bhi dekha hai zindagi ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.