dard pita hun muskuraata hun
dard piitā huuñ muskurātā huuñ
aag ko phuul se bujhātā huuñ
ḳhud pe ilzām le liye saare
par tire naam ko chhupātā huuñ
jaane mujh ko sanak ye kaisī hai
naam likhtā huuñ aur miTātā huuñ
kaun sī chiiz kho ga.ī merī
jaane kyā DhūñDhne ko jaatā huuñ
ġhair kī guftugū meñ jab terā
zikr aa.e to chauñk jaatā huuñ
ab to aadat hai in añdheroñ kī
maiñ ujāloñ se ḳhauf khātā huuñ
ek arse se jo parāyā hai
rabt us se bhī maiñ nibhātā huuñ
dard pita hun muskuraata hun
aag ko phul se bujhata hun
KHud pe ilzam le liye sare
par tere nam ko chhupata hun
jaane mujh ko sanak ye kaisi hai
nam likhta hun aur miTata hun
kaun si chiz kho gai meri
jaane kya DhunDhne ko jata hun
ghair ki guftugu mein jab tera
zikr aae to chaunk jata hun
ab to aadat hai in andheron ki
main ujalon se KHauf khata hun
ek arse se jo paraya hai
rabt us se bhi main nibhata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.