dard se agar rishta dost ka nikal aae
dard se agar rishta dost kā nikal aa.e
ġham meñ muskurāne kā rāsta nikal aa.e
sach se ik ta.alluq hai har hasīn kāvish kā
har kahānī mumkin hai vāqi.a nikal aa.e
koThiyoñ meñ niklegā aadmī bhī mushkil se
jhoñpaḌoñ meñ mumkin hai devtā nikal aa.e
vaqt ne badal Daalā zindagī kī qadroñ ko
dost kyā the kal apne aaj kyā nikal aa.e
sochne agar baiTheñ un kī zulf-e-barham se
daar tak mohabbat kā silsila nikal aa.e
le chalā hai dil lekin baat jab hai bin TuuTe
pattharoñ kī bastī se aa.ina nikal aa.e
umr bhar mile jin se muskurā ke ham 'nazmī'
vo bhī dil ke zaḳhmoñ se āshnā nikal aa.e
dard se agar rishta dost ka nikal aae
gham mein muskurane ka rasta nikal aae
sach se ek talluq hai har hasin kawish ka
har kahani mumkin hai waqia nikal aae
koThiyon mein niklega aadmi bhi mushkil se
jhonpaDon mein mumkin hai dewta nikal aae
waqt ne badal Dala zindagi ki qadron ko
dost kya the kal apne aaj kya nikal aae
sochne agar baiThen un ki zulf-e-barham se
dar tak mohabbat ka silsila nikal aae
le chala hai dil lekin baat jab hai bin TuTe
pattharon ki basti se aaina nikal aae
umr bhar mile jin se muskura ke hum 'nazmi'
wo bhi dil ke zaKHmon se aashna nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.