dard se bhaari hua dil kya hua
dard se bhārī huā dil kyā huā
kyā pata rag rag meñ shāmil kyā huā
miT ga.e ham jis ko paane ke liye
zindagī se ham ko hāsil kyā huā
yak-ba-yak sab daaġh dil ke dhul ga.e
maiñ saf-e-qātil meñ shāmil kyā huā
mere qātil kī nigāheñ khul ga.iiñ
maiñ zarā sā ḳhud se ġhāfil kyā huā
har taraf se mujh ko hī nochā gayā
bas kamāne ke maiñ qābil kyā huā
log patthar kī taraf rāġhib hue
aa.ina madd-e-muqābil kyā huā
uTh rahī haiñ us pe 'irfāñ' uñgliyāñ
apne maqsad meñ vo kāmil kyā huā
dard se bhaari hua dil kya hua
kya pata rag rag mein shamil kya hua
miT gae hum jis ko pane ke liye
zindagi se hum ko hasil kya hua
yak-ba-yak sab dagh dil ke dhul gae
main saf-e-qatil mein shamil kya hua
mere qatil ki nigahen khul gain
main zara sa KHud se ghafil kya hua
har taraf se mujh ko hi nocha gaya
bas kamane ke main qabil kya hua
log patthar ki taraf raghib hue
aaina madd-e-muqabil kya hua
uTh rahi hain us pe 'irfan' ungliyan
apne maqsad mein wo kaamil kya hua
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 35)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.