dard se yar chiKH uTThe hain
dard se yaar chīḳh uTThe haiñ
sar-e-bāzār chīḳh uTThe haiñ
tū kahānī meñ kyoñ huā shāmil
saare kirdār chīḳh uTThe haiñ
jin ke muñh meñ zabān thī hī nahīñ
vo bhī is baar chīḳh uTThe haiñ
ḳhud hī aa aur aa ke dekh zarā
tere shahkār chīḳh uTThe haiñ
terī tasvīr kyā lagī ghar meñ
dar-o-dīvār chīḳh uTThe haiñ
terā sattār vird karte hue
dil ke sab taar chīḳh uTThe haiñ
aisī āñdhī chalī hai nafrat kī
gul-o-gulzār chīḳh uTThe haiñ
zindagī kā yahī vatīra hai
aap be-kār chīḳh uTThe haiñ
ātish-e-fikr tujh meñ jalte hue
ab chaman-zār chīḳh uTThe haiñ
jin ko nafrat sadā jahāñ se milī
jab milā pyaar chīḳh uTThe haiñ
chup haiñ mazlūm zaḳhm khā kar bhī
tīr-o-talvār chīḳh uTThe haiñ
zabt karte rahe haiñ muddat tak
āḳhir-e-kār chīḳh uTThe haiñ
mere dāman meñ aa.e jab 'tāriq'
phuul aur ḳhaar chīḳh uTThe haiñ
dard se yar chiKH uTThe hain
sar-e-bazar chiKH uTThe hain
tu kahani mein kyon hua shamil
sare kirdar chiKH uTThe hain
jin ke munh mein zaban thi hi nahin
wo bhi is bar chiKH uTThe hain
KHud hi aa aur aa ke dekh zara
tere shahkar chiKH uTThe hain
teri taswir kya lagi ghar mein
dar-o-diwar chiKH uTThe hain
tera sattar wird karte hue
dil ke sab tar chiKH uTThe hain
aisi aandhi chali hai nafrat ki
gul-o-gulzar chiKH uTThe hain
zindagi ka yahi watira hai
aap be-kar chiKH uTThe hain
aatish-e-fikr tujh mein jalte hue
ab chaman-zar chiKH uTThe hain
jin ko nafrat sada jahan se mili
jab mila pyar chiKH uTThe hain
chup hain mazlum zaKHm kha kar bhi
tir-o-talwar chiKH uTThe hain
zabt karte rahe hain muddat tak
aaKHir-e-kar chiKH uTThe hain
mere daman mein aae jab 'tariq'
phul aur KHar chiKH uTThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.