dard-shanas dil nahin jalwa-talab nazar nahin
dard-shanās dil nahīñ jalva-talab nazar nahīñ
hādsa kitnā saḳht hai un ko abhī ḳhabar nahīñ
aur baḌhegā dard-e-dil raat jo bhiig jā.egī
dekh na vaqt kī taraf vaqt bhī chārāgar nahīñ
kis ko ḳhabar ki ham se kab aap nigāh pher leñ
nashsha to dhuup chhāñv hai baada bhī mo'tabar nahīñ
ham to ḳhizāñ kī dhuup meñ ḳhūn-e-jigar chhiḌak chale
mausam-e-gul kī chāndnī kis ko mile ḳhabar nahīñ
dil ke ta.alluqāt se kaun sā dil ko chain hai
aao kisī se toḌ leñ rishta-e-dil magar nahīñ
ishq pe kaisā dukh paḌā husn pe kyā guzar ga.ī
aaj galī udaas hai aaj vo baam par nahīñ
dil se 'shamīm' guftugū dekhiye kab talak chale
raat bhī muḳhtasar nahīñ baat bhī muḳhtasar nahīñ
dard-shanas dil nahin jalwa-talab nazar nahin
hadsa kitna saKHt hai un ko abhi KHabar nahin
aur baDhega dard-e-dil raat jo bhig jaegi
dekh na waqt ki taraf waqt bhi chaaragar nahin
kis ko KHabar ki hum se kab aap nigah pher len
nashsha to dhup chhanw hai baada bhi mo'tabar nahin
hum to KHizan ki dhup mein KHun-e-jigar chhiDak chale
mausam-e-gul ki chandni kis ko mile KHabar nahin
dil ke talluqat se kaun sa dil ko chain hai
aao kisi se toD len rishta-e-dil magar nahin
ishq pe kaisa dukh paDa husn pe kya guzar gai
aaj gali udas hai aaj wo baam par nahin
dil se 'shamim' guftugu dekhiye kab talak chale
raat bhi muKHtasar nahin baat bhi muKHtasar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.