dard sine mein kahin chiKH raha ho jaise
dard sine mein kahin chiKH raha ho jaise
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
dard siine meñ kahīñ chīḳh rahā ho jaise
terī jānib se koī tiir chalā ho jaise
mere ashkoñ ke samundar meñ koī tāj-mahal
dhīre dhīre se kahīñ Duub rahā ho jaise
umr guzrī magar ehsās yahī rahtā hai
vo abhī uTh ke mire ghar se gayā ho jaise
tere har nashtarī jumle bhī lage haiñ pyāre
tere dushnām kī tāsīr judā ho jaise
sham.a kī lau ne ab sar ko jhukāyā aisā
jalte rahnā bhī mirā merī ḳhatā ho jaise
dard sine mein kahin chiKH raha ho jaise
teri jaanib se koi tir chala ho jaise
mere ashkon ke samundar mein koi taj-mahal
dhire dhire se kahin Dub raha ho jaise
umr guzri magar ehsas yahi rahta hai
wo abhi uTh ke mere ghar se gaya ho jaise
tere har nashtari jumle bhi lage hain pyare
tere dushnam ki tasir juda ho jaise
shama ki lau ne ab sar ko jhukaya aisa
jalte rahna bhi mera meri KHata ho jaise
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 82)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.