dard tera mere dil ko be-mahaba mil gaya
dard terā mere dil ko be-mahābā mil gayā
ya.anī ḳhud qatre se aa kar aaj dariyā mil gayā
tum ne dekhā ik nazar sab kuchh hī goyā mil gayā
dard kā darmāñ milā ġham kā mudāvā mil gayā
aaj kyoñ ā.īna dekhā jā rahā hai baar baar
sach batāo kyā tumheñ koī tumhīñ sā mil gayā
dekh lenā dāstān-e-dard kī rangīniyāñ
āñsuoñ meñ apne ab ḳhūn-e-tamannā mil gayā
saiñkaḌoñ sajde kiye merī jabīn-e-shauq ne
jis jagah par aap kā naqsh-e-kaf-e-pā mil gayā
kaise kaise jauharoñ ko piis Daalā charḳh ne
tere hāthoñ ai ajal miTTī meñ kyā kyā mil gayā
daḳhl shauq-e-dil ko thā merī balā-noshī meñ kuchh
chashm-e-sāqī kī taraf se kuchh ishāra mil gayā
'nāmī'-e-afsurda shauq-e-justujū dil meñ nahīñ
varna fart-e-shauq ne jab us ko DhūñDā mil gayā
dard tera mere dil ko be-mahaba mil gaya
yani KHud qatre se aa kar aaj dariya mil gaya
tum ne dekha ek nazar sab kuchh hi goya mil gaya
dard ka darman mila gham ka mudawa mil gaya
aaj kyon aaina dekha ja raha hai bar bar
sach batao kya tumhein koi tumhin sa mil gaya
dekh lena dastan-e-dard ki ranginiyan
aansuon mein apne ab KHun-e-tamanna mil gaya
sainkaDon sajde kiye meri jabin-e-shauq ne
jis jagah par aap ka naqsh-e-kaf-e-pa mil gaya
kaise kaise jauharon ko pis Dala charKH ne
tere hathon ai ajal miTTi mein kya kya mil gaya
daKHl shauq-e-dil ko tha meri bala-noshi mein kuchh
chashm-e-saqi ki taraf se kuchh ishaara mil gaya
'nami'-e-afsurda shauq-e-justuju dil mein nahin
warna fart-e-shauq ne jab us ko DhunDa mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.