dard wo tu ne diya jis ka mudawa na hua
dard vo tū ne diyā jis kā mudāvā na huā
terā bīmār masīhā se bhī achchhā na huā
aap hī kahiye ki ye ġhamza-e-be-jā na huā
mujh se parda huā aur ġhair se pardā na huā
be-muravvat na sahī aap magar ye kyā hai
mujh se parda huā aur ġhair se pardā na huā
aap kī sharm bhī duniyā se nirālī niklī
mujh se parda huā aur ġhair se pardā na huā
tū taḌap apnī dikhāne to chalā hai ai dil
aur vo shoḳh agar mahv-e-tamāshā na huā
dekhte hī mujhe barsānā ye patthar kaisā
terā āshiq na huā maiñ koī dīvāna huā
vo shab-e-vasl bhī aa.e to chaḌhā.e tevar
baḳht-bargashta mirā aaj bhī sīdhā na huā
mere hisse kā na saaqī ne bharā jaam ab tak
aur labrez yahāñ umr kā paimāna huā
huur ho is but-e-rā.anā ke muqābil tauba
vā.izo tum ko atā dīda-e-bīnā na huā
hañs paḌā chupke se vo ġhuncha-dahan kuchh kah kar
aisā ye vasl kā va.ada huā goyā na huā
haif-sad-haif ki rahm aa hī gayā qātil ko
na huā shauq-e-shahādat mirā puurā na huā
haath aaya na kabhī vo gul-e-naḳhl-e-ḳhūbī
kabhī sarsabz mirā bāġh-e-tamannā na huā
qābil-e-zikr thī kis din na mirī rusvā.ī
yaar kī bazm meñ kis din mirā charchā na huā
baḳht chamkā na kabhī mere siyah-ḳhāne kā
merā mehmān kabhī vo but-e-rā.anā na huā
aañkh uThā kar bhī na dekhā mire lāshe kī taraf
us sitamgar se itnā bhī to dekhā na huā
chashm-e-sāqī kā tasavvur huā rahbar merā
jab ravāna kabhī maiñ jānib-e-mai-ḳhāna huā
saḳht-jānī ne mirī mujh ko kiyā kyā nādim
hausla yaar kī talvār kā puurā na huā
laakh maarā kiyā sar ḳhanjar-e-qātil 'nashtar'
saḳht-jānī kā mirī baal bhī biikā na huā
dard wo tu ne diya jis ka mudawa na hua
tera bimar masiha se bhi achchha na hua
aap hi kahiye ki ye ghamza-e-be-ja na hua
mujh se parda hua aur ghair se parda na hua
be-murawwat na sahi aap magar ye kya hai
mujh se parda hua aur ghair se parda na hua
aap ki sharm bhi duniya se nirali nikli
mujh se parda hua aur ghair se parda na hua
tu taDap apni dikhane to chala hai ai dil
aur wo shoKH agar mahw-e-tamasha na hua
dekhte hi mujhe barsana ye patthar kaisa
tera aashiq na hua main koi diwana hua
wo shab-e-wasl bhi aae to chaDhae tewar
baKHt-bargashta mera aaj bhi sidha na hua
mere hisse ka na saqi ne bhara jam ab tak
aur labrez yahan umr ka paimana hua
hur ho is but-e-raana ke muqabil tauba
waizo tum ko ata dida-e-bina na hua
hans paDa chupke se wo ghuncha-dahan kuchh kah kar
aisa ye wasl ka wada hua goya na hua
haif-sad-haif ki rahm aa hi gaya qatil ko
na hua shauq-e-shahadat mera pura na hua
hath aaya na kabhi wo gul-e-naKHl-e-KHubi
kabhi sarsabz mera bagh-e-tamanna na hua
qabil-e-zikr thi kis din na meri ruswai
yar ki bazm mein kis din mera charcha na hua
baKHt chamka na kabhi mere siyah-KHane ka
mera mehman kabhi wo but-e-raana na hua
aankh uTha kar bhi na dekha mere lashe ki taraf
us sitamgar se itna bhi to dekha na hua
chashm-e-saqi ka tasawwur hua rahbar mera
jab rawana kabhi main jaanib-e-mai-KHana hua
saKHt-jaani ne meri mujh ko kiya kya nadim
hausla yar ki talwar ka pura na hua
lakh mara kiya sar KHanjar-e-qatil 'nashtar'
saKHt-jaani ka meri baal bhi bika na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.