daricha aaine par khul raha hai
darīcha aa.ine par khul rahā hai
mujhe apne se bāhar jhāñknā hai
akelā TuuTī kashtī par khaḌā huuñ
kinārā duur hotā jā rahā hai
use pahchānñā āsāñ nahīñ jo
havā kā rañg paanī kā maza hai
kahīñ andar hī TuuTe hoñge alfāz
abhī tak terā lahja chubh rahā hai
vo apne dostoñ ke darmiyāñ hai
yā mere dushmanoñ meñ ghir gayā hai
kisī ne aa.ine par hoñT rakh kar
achānak shauq ko bhaḌkā diyā hai
ḳhudā-e-lam-yazal tere liye to
jo honā thā vo goyā ho chukā hai
vo kaise āzmā.egā kisī ko
jo pahle hī se sab kuchh jāntā hai
daricha aaine par khul raha hai
mujhe apne se bahar jhankna hai
akela TuTi kashti par khaDa hun
kinara dur hota ja raha hai
use pahchanna aasan nahin jo
hawa ka rang pani ka maza hai
kahin andar hi TuTe honge alfaz
abhi tak tera lahja chubh raha hai
wo apne doston ke darmiyan hai
ya mere dushmanon mein ghir gaya hai
kisi ne aaine par honT rakh kar
achanak shauq ko bhaDka diya hai
KHuda-e-lam-yazal tere liye to
jo hona tha wo goya ho chuka hai
wo kaise aazmaega kisi ko
jo pahle hi se sab kuchh jaanta hai
- Book : Tamasha (Pg. 32)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.