daricha hai na koi dar hai kya kiya jae
darīcha hai na koī dar hai kyā kiyā jaa.e
qafas nahīñ hai mirā ghar hai kyā kiyā jaa.e
dhanak ke rang meñ ruḳh par sajā.e rahtī huuñ
shikast-o-reḳht to andar hai kyā kiyā jaa.e
gavāhī degā mire ratjagoñ kī kaun bhalā
bas ek chāñd hī maz.har hai kyā kiyā jaa.e
bhaTak rahā hai jo kashkol-e-nā-murādī liye
samajhtā ḳhud ko sikandar hai kyā kiyā jaa.e
luTā ke dekh chukī huuñ maiñ apnī jaan us par
shikāyatoñ kā vo daftar hai kyā kiyā jaa.e
churānā chāhtī huuñ jis ko lamha do lamha
raqīboñ ko vo mayassar hai kyā kiyā jaa.e
suḳhan se jis ke nahīñ aatī dard kī ḳhushbū
vo kahtā ḳhud ko suḳhanvar hai kyā kiyā jaa.e
daricha hai na koi dar hai kya kiya jae
qafas nahin hai mera ghar hai kya kiya jae
dhanak ke rang mein ruKH par sajae rahti hun
shikast-o-reKHt to andar hai kya kiya jae
gawahi dega mere ratjagon ki kaun bhala
bas ek chand hi mazhar hai kya kiya jae
bhaTak raha hai jo kashkol-e-na-muradi liye
samajhta KHud ko sikandar hai kya kiya jae
luTa ke dekh chuki hun main apni jaan us par
shikayaton ka wo daftar hai kya kiya jae
churana chahti hun jis ko lamha do lamha
raqibon ko wo mayassar hai kya kiya jae
suKHan se jis ke nahin aati dard ki KHushbu
wo kahta KHud ko suKHanwar hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.