dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya
darīche hī darīche the koī bhī dar nahīñ aayā
sadāoñ kī kamī thī kyā jo tū bāhar nahīñ aayā
agar hai daulatoñ meñ dam ḳharīdo tum mirā saaya
maiñ vo baijū jo akbar ke bulāne par nahīñ aayā
bahut mīThā sā lagtā hai tirī āñkhoñ kā paanī kyoñ
tirī āñkhoñ ke hisse kyā kabhī sāgar nahīñ aayā
hazāroñ log bas ye jism chhū kar lauT jaate haiñ
huā arsa koī is ruuh ke andar nahīñ aayā
hamāre ġham kā paimāna hai ab to ausatan itnā
kabhī mausam bahāroñ kā ziyāda-tar nahīñ aayā
dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya
sadaon ki kami thi kya jo tu bahar nahin aaya
agar hai daulaton mein dam KHarido tum mera saya
main wo baiju jo akbar ke bulane par nahin aaya
bahut miTha sa lagta hai teri aankhon ka pani kyon
teri aankhon ke hisse kya kabhi sagar nahin aaya
hazaron log bas ye jism chhu kar lauT jate hain
hua arsa koi is ruh ke andar nahin aaya
hamare gham ka paimana hai ab to ausatan itna
kabhi mausam bahaaron ka ziyaada-tar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.