dariya-e-aftab ki tughyaniyat na dekh
dariyā-e-āftāb kī tuġhyāniyat na dekh
apnā vajūd aap pas-e-āfiyat na dekh
āñkheñ siyāh nuqtoñ se aage na baḌh sakīñ
ā.īna-e-ḳhayāl kī masrūfiyat na dekh
ye dekh ab savāl-e-baqā-e-yaqīn hai
TuuTe hue gumān kī ma.asūmiyat na dekh
ādāb-e-har-shikasta-labī kā lihāz rakh
har baat meñ nazākat-e-guftāriyat na dekh
jamte hue ġhubār kā saaya na sar pe rakh
ai 'qaus' uḌtī gard kī dīvāriyat na dekh
dariya-e-aftab ki tughyaniyat na dekh
apna wajud aap pas-e-afiyat na dekh
aankhen siyah nuqton se aage na baDh sakin
aaina-e-KHayal ki masrufiyat na dekh
ye dekh ab sawal-e-baqa-e-yaqin hai
TuTe hue guman ki masumiyat na dekh
aadab-e-har-shikasta-labi ka lihaz rakh
har baat mein nazakat-e-guftariyat na dekh
jamte hue ghubar ka saya na sar pe rakh
ai 'qaus' uDti gard ki diwariyat na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.