dariya-e-ishq jo tha utar kar nahin raha
dariyā-e-ishq jo thā utar kar nahīñ rahā
bātin kā haq-shanās magar mar nahīñ rahā
achchhā to aap ḳhud hī rivāyat ko toḌ deñ
koī agar kisī kā bhalā kar nahīñ rahā
jazbāt is liye nahīñ phūle phale kabhī
dil yād-e-ishq-e-yār kā mehvar nahīñ rahā
shāmil nahīñ hai yaar jo hūrān-e-ḳhuld meñ
gintī meñ merī aaj se sattar nahīñ rahā
aise sitam-shi.ār kā bantā nahīñ hai ġham
jo chhoḌte hue bhī tujhe Dar nahīñ rahā
phir yuuñ huā ki yaar ne dīvār khīñch dī
jo mushtarak thā naḳhl-e-sanobar nahīñ rahā
'e.ajāz' kam nahīñ ye fasurda-dilī kā bhī
ham Dūbne chale to samandar nahīñ rahā
dariya-e-ishq jo tha utar kar nahin raha
baatin ka haq-shanas magar mar nahin raha
achchha to aap KHud hi riwayat ko toD den
koi agar kisi ka bhala kar nahin raha
jazbaat is liye nahin phule phale kabhi
dil yaad-e-ishq-e-yar ka mehwar nahin raha
shamil nahin hai yar jo huran-e-KHuld mein
ginti mein meri aaj se sattar nahin raha
aise sitam-shiar ka banta nahin hai gham
jo chhoDte hue bhi tujhe Dar nahin raha
phir yun hua ki yar ne diwar khinch di
jo mushtarak tha naKHl-e-sanobar nahin raha
'eajaz' kam nahin ye fasurda-dili ka bhi
hum Dubne chale to samandar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.