dariya-e-KHun se ya to guzar jaana chahiye
dariyā-e-ḳhūñ se yā to guzar jaanā chāhiye
yā phir usī meñ Duub ke mar jaanā chāhiye
ye kyā ki 'umr 'ishq-e-butāñ meñ guzār dī
achchhā sā koī kaam bhī kar jaanā chāhiye
koī pukārtā hai tujhe dil ke us taraf
dil hī se pūchh tujh ko udhar jaanā chāhiye
lauT aa.e haiñ daraḳhtoñ kī shāḳhoñ pe sab parind
din Dhal chukā hai mujh ko bhī ghar jaanā chāhiye
kyā shahr-e-shor-e-zulm meñ maiñ bhī rahūñ ḳhamosh
kyā terī tarh mujh ko bhī Dar jaanā chāhiye
is qarya-e-sitam meñ badan par na rakh ise
vo vaqt aa gayā hai ki sar jaanā chāhiye
shah ke vazīfa-ḳhvār haiñ saare ḳhabar-nigār
ḳhabroñ meñ ek ye bhī ḳhabar jaanā chāhiye
thoḌī sī pī ke nashsha na tujh ko chaḌhegā shaiḳh
hāthoñ meñ jo subū hai vo bhar jaanā chāhiye
jab ḳhatm ho chukā haq-o-bātil meñ imtiyāz
kaise kahūñ ki mujh ko kidhar jaanā chāhiye
tū hī batā ghirā ho agar dushmanoñ meñ dost
muñh pher ke udhar se guzar jaanā chāhiye
dariya-e-KHun se ya to guzar jaana chahiye
ya phir usi mein Dub ke mar jaana chahiye
ye kya ki 'umr 'ishq-e-butan mein guzar di
achchha sa koi kaam bhi kar jaana chahiye
koi pukarta hai tujhe dil ke us taraf
dil hi se puchh tujh ko udhar jaana chahiye
lauT aae hain daraKHton ki shaKHon pe sab parind
din Dhal chuka hai mujh ko bhi ghar jaana chahiye
kya shahr-e-shor-e-zulm mein main bhi rahun KHamosh
kya teri tarh mujh ko bhi Dar jaana chahiye
is qarya-e-sitam mein badan par na rakh ise
wo waqt aa gaya hai ki sar jaana chahiye
shah ke wazifa-KHwar hain sare KHabar-nigar
KHabron mein ek ye bhi KHabar jaana chahiye
thoDi si pi ke nashsha na tujh ko chaDhega shaiKH
hathon mein jo subu hai wo bhar jaana chahiye
jab KHatm ho chuka haq-o-baatil mein imtiyaz
kaise kahun ki mujh ko kidhar jaana chahiye
tu hi bata ghira ho agar dushmanon mein dost
munh pher ke udhar se guzar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.