dariya-e-mohabbat mein maujen hain na dhaara hai
dariyā-e-mohabbat meñ maujeñ haiñ na dhārā hai
yuuñ shauq-e-marātib ne pastī meñ utārā hai
is shahr-e-taġhāful meñ ham kis ko kaheñ apnā
vo shahr jo duniyā meñ kahne ko hamārā hai
āñkhoñ meñ kabhī the ab, hāthoñ meñ haiñ bachchoñ ke
sūraj hai ki chandā hai, jugnū hai ki taarā hai
vo husn-e-mujassam jab guzrā hai chaman se tab
ḳhud apnā sarāpā bhī phūloñ ne sañvārā hai
aa jaate ho kyuuñ āḳhir yuuñ ḳhvāb na.e le kar
is shahr-e-tazabzub meñ kyā hai jo tumhārā hai
mar.ūb huiiñ qadreñ jab apnī yahāñ, ham ne
maġhrib ke darīchoñ se mashriq ko ubhārā hai
ab jaa.eñ to pahchāne shāyad hī vahāñ koī
vo des jahāñ ham ne ik arsa guzārā hai
naale to kahīñ āheñ, ik hashr sā hai har sū
hai kaun jo duniyā se is tarah sidhārā hai
ham rahne lage 'ḳhālid' ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ
pūchhā thā kabhī us ne kyā naam tumhārā hai
dariya-e-mohabbat mein maujen hain na dhaara hai
yun shauq-e-maraatib ne pasti mein utara hai
is shahr-e-taghaful mein hum kis ko kahen apna
wo shahr jo duniya mein kahne ko hamara hai
aankhon mein kabhi the ab, hathon mein hain bachchon ke
suraj hai ki chanda hai, jugnu hai ki tara hai
wo husn-e-mujassam jab guzra hai chaman se tab
KHud apna sarapa bhi phulon ne sanwara hai
aa jate ho kyun aaKHir yun KHwab nae le kar
is shahr-e-tazabzub mein kya hai jo tumhaara hai
marub huin qadren jab apni yahan, hum ne
maghrib ke darichon se mashriq ko ubhaara hai
ab jaen to pahchane shayad hi wahan koi
wo des jahan hum ne ek arsa guzara hai
nale to kahin aahen, ek hashr sa hai har su
hai kaun jo duniya se is tarah sidhaara hai
hum rahne lage 'KHalid' KHwabon ke jaziron mein
puchha tha kabhi us ne kya nam tumhaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.