dariya-e-tirgi mein bikharna paDa mujhe
dariyā-e-tīrgī meñ bikharnā paḌā mujhe
sūraj ke saath saath utarnā paḌā mujhe
do-chār din nigāh kā markaz rahā koī
phir fāsloñ kā faisla karnā paḌā mujhe
kyā jaane kis mizāj ke kitne habīb the
apnī hī āstīn se Darnā paḌā mujhe
āñkhoñ se umr-bhar na mulāqāt ho sakī
be-kār aa.ine meñ sañvarnā paḌā mujhe
ik zindagī ko chhoḌ diyā maut ke liye
ik zindagī ke vāste marnā paḌā mujhe
mīThe samundaroñ ke unhīñ se the silsile
jin khaTTe pāniyoñ meñ Thaharnā paḌā mujhe
ik sach kī aabrū kī hifāzat ke vāste
ḳhud apne aap hī se mukarnā paḌā mujhe
dariya-e-tirgi mein bikharna paDa mujhe
suraj ke sath sath utarna paDa mujhe
do-chaar din nigah ka markaz raha koi
phir faslon ka faisla karna paDa mujhe
kya jaane kis mizaj ke kitne habib the
apni hi aastin se Darna paDa mujhe
aankhon se umr-bhar na mulaqat ho saki
be-kar aaine mein sanwarna paDa mujhe
ek zindagi ko chhoD diya maut ke liye
ek zindagi ke waste marna paDa mujhe
miThe samundaron ke unhin se the silsile
jin khaTTe paniyon mein Thaharna paDa mujhe
ek sach ki aabru ki hifazat ke waste
KHud apne aap hi se mukarna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.