dariya hai muhafiz to kahin tez hawa hai
dariyā hai muhāfiz to kahīñ tez havā hai
tūfān meñ kashtī kā nigahbān ḳhudā hai
pattā jo abhī TuuT ke shāḳhoñ se girā hai
insān kī hastī kā bharam khol rahā hai
shohrat ho ki daulat ho ki izzat ho jahāñ meñ
jo kuchh bhī milā maañ kī duāoñ se milā hai
jaa.e to kidhar jaa.e ye sahrā kā musāfir
saaya na shajar hai na kisī samt havā hai
kyā turfa-tamāshā hai ki mujh se mirā qātil
ḳhud aa ke mire ghar kā pata pūchh rahā hai
is daur meñ kyā DhūñDte ho adl-e-jahāñgīr
maqtūl pe bhī qatl kā ilzām lagā hai
ab paañv ke chhāle bhī nahīñ dete gavāhī
sahrā ke safar meñ ye ajab vaqt paḌā hai
shāyad ki bharam khul gayā is rāz-e-junūñ kā
jo aaj 'zafar' kāñpte hoñToñ pe duā hai
dariya hai muhafiz to kahin tez hawa hai
tufan mein kashti ka nigahban KHuda hai
patta jo abhi TuT ke shaKHon se gira hai
insan ki hasti ka bharam khol raha hai
shohrat ho ki daulat ho ki izzat ho jahan mein
jo kuchh bhi mila man ki duaon se mila hai
jae to kidhar jae ye sahra ka musafir
saya na shajar hai na kisi samt hawa hai
kya turfa-tamasha hai ki mujh se mera qatil
KHud aa ke mere ghar ka pata puchh raha hai
is daur mein kya DhunDte ho adl-e-jahangir
maqtul pe bhi qatl ka ilzam laga hai
ab panw ke chhaale bhi nahin dete gawahi
sahra ke safar mein ye ajab waqt paDa hai
shayad ki bharam khul gaya is raaz-e-junun ka
jo aaj 'zafar' kanpte honTon pe dua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.