dariya hai pure josh mein hum bhi hain taw mein
dariyā hai puure josh meñ ham bhī haiñ taav meñ
aatā hai kaun dekhiye kis ke bahāv meñ
ve shaḳhs bhī zarūr yahīñ ās-pās hai
itnī tapish kahāñ thī vagarna alaav meñ
vo mauj-e-iztirāb bhī kuchh kar nahīñ sakī
maiñ le ke aa gayā huuñ samundar bhī naav meñ
kis ko hai chhoḌnā mujhe rakhnā hai kis ko saath
ye faisla karūñgā maiñ agle paḌāv meñ
'sharjīl' ham ko farq ziyāda nahīñ lagā
duniyā kī choT aur mohabbat ke ghaav meñ
dariya hai pure josh mein hum bhi hain taw mein
aata hai kaun dekhiye kis ke bahaw mein
we shaKHs bhi zarur yahin aas-pas hai
itni tapish kahan thi wagarna alaw mein
wo mauj-e-iztirab bhi kuchh kar nahin saki
main le ke aa gaya hun samundar bhi naw mein
kis ko hai chhoDna mujhe rakhna hai kis ko sath
ye faisla karunga main agle paDaw mein
'sharjil' hum ko farq ziyaada nahin laga
duniya ki choT aur mohabbat ke ghaw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.