Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena

Obaid Siddiqi

dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    dariyā jo chaḌhā hai vo utarne nahīñ denā

    ye lamha-e-maujūd guzarne nahīñ denā

    duniyā nahīñ dil ko bhī is shahr-e-havas meñ

    man-mānī kisī haal meñ karne nahīñ denā

    mahsūs nahīñ hogī masīhā zarūrat

    ye zaḳhm aisā hai ki bharne nahīñ denā

    mushkil hai magar kaam ye karnā paḌegā

    insān ko insān se Darne nahīñ denā

    jis ḳhvāb meñ rū-posh ho jiine tamannā

    vo ḳhvāb-e-dil-āvez bikharne nahīñ denā

    gar dil ko jalā kar bhī dhuāñ karnā paḌe to

    in paudoñ ko kohre meñ ThiThurne nahīñ denā

    dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena

    ye lamha-e-maujud guzarne nahin dena

    duniya hi nahin dil ko bhi is shahr-e-hawas mein

    man-mani kisi haal mein karne nahin dena

    mahsus nahin hogi masiha ki zarurat

    ye zaKHm hi aisa hai ki bharne nahin dena

    mushkil hai magar kaam ye karna hi paDega

    insan ko insan se Darne nahin dena

    jis KHwab mein ru-posh ho jine ki tamanna

    wo KHwab-e-dil-awez bikharne nahin dena

    gar dil ko jala kar bhi dhuan karna paDe to

    in paudon ko kohre mein ThiThurne nahin dena

    Source :
    • Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 30)
    • Author : obaid siddiqii
    • Publication : maktaba jamia limited (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now