dariya ka un ko hum koi qatra na de sake
dariyā kā un ko ham koī qatra na de sake
bas is liye daraḳht bhī saaya na de sake
maiñ to samajh rahā thā mirā saath deñge vo
mushkil ghaḌī meñ bhī jo dilāsa na de sake
itne dikhā diye haiñ hameñ zindagī ne rang
ki zindagī ko ham koī chehra na de sake
ye baat chhoḌ de ki mire paas kuchh na thā
bas ye batā de tū ki tujhe kyā na de sake
ham chāhte the dil meñ rahe 'umr-bhar magar
muflis the is qadar ki kirāya na de sake
karte haiñ dūsroñ kā makāñ raakh vo charāġh
apne makān meñ jo ujālā na de sake
'shādāb' ik sabaq to tujhe de ga.e vo log
rasta batā ke jo tujhe rāsta na de sake
dariya ka un ko hum koi qatra na de sake
bas is liye daraKHt bhi saya na de sake
main to samajh raha tha mera sath denge wo
mushkil ghaDi mein bhi jo dilasa na de sake
itne dikha diye hain hamein zindagi ne rang
ki zindagi ko hum koi chehra na de sake
ye baat chhoD de ki mere pas kuchh na tha
bas ye bata de tu ki tujhe kya na de sake
hum chahte the dil mein rahe 'umr-bhar magar
muflis the is qadar ki kiraya na de sake
karte hain dusron ka makan rakh wo charagh
apne makan mein jo ujala na de sake
'shadab' ek sabaq to tujhe de gae wo log
rasta bata ke jo tujhe rasta na de sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.