dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega
dariyā kabhī ik haal meñ bahtā na rahegā
rah jā.ūñgā maiñ aur koī mujh sā na rahegā
aaseb nazar aate haiñ din ko bhī yahāñ par
is shahr meñ ab koī akelā na rahegā
achchhā hai na dekheñge na mahsūs kareñge
āñkheñ na raheñgī to tamāshā na rahegā
vo ḳhaak uḌegī ki na dekhī na sunī ho
dīvāna to kyā chiiz hai sahrā na rahegā
ye anjuman-ārā.ī hai ik raat kī mehmān
tā-sub.h koī dekhne vaalā na rahegā
tū kuchh bhī ho kab tak tujhe ham yaad kareñge
tā-hashr to ye dil bhī dhaḌaktā na rahegā
kyā kyā nazar aatā thā ki maujūd nahīñ hai
ye soch ke rotā huuñ ki kyā kyā na rahegā
āḳhir mire siine ke bhī nāsūr bhareñge
ye baaġh sadā rañg dikhātā na rahegā
huuñ zarra-e-nāchīz mujhe kal kī nahīñ fikr
mash.hūr jo haiñ naam unhī kā na rahegā
'shahzād' bahut ḳhvār kiyā ham-suḳhanī ne
kuchh din dar-o-dīvār se yārāna rahegā
dariya kabhi ek haal mein bahta na rahega
rah jaunga main aur koi mujh sa na rahega
aaseb nazar aate hain din ko bhi yahan par
is shahr mein ab koi akela na rahega
achchha hai na dekhenge na mahsus karenge
aankhen na rahengi to tamasha na rahega
wo KHak uDegi ki na dekhi na suni ho
diwana to kya chiz hai sahra na rahega
ye anjuman-arai hai ek raat ki mehman
ta-subh koi dekhne wala na rahega
tu kuchh bhi ho kab tak tujhe hum yaad karenge
ta-hashr to ye dil bhi dhaDakta na rahega
kya kya nazar aata tha ki maujud nahin hai
ye soch ke rota hun ki kya kya na rahega
aaKHir mere sine ke bhi nasur bharenge
ye bagh sada rang dikhata na rahega
hun zarra-e-nachiz mujhe kal ki nahin fikr
mashhur jo hain nam unhi ka na rahega
'shahzad' bahut KHwar kiya ham-suKHani ne
kuchh din dar-o-diwar se yarana rahega
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 292)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.