dariya ke dhaDakte sine tak sahil ki dua le jaunga
dariyā ke dhaḌakte siine tak sāhil kī du'ā le jā.ūñgā
hālāt kī lahroñ par ik din maiñ ḳhud ko bahā le jā.ūñgā
maiñ apne añdhere kamre meñ parchhā.īñ ugāne kī ḳhātir
sūraj kī shu'ā'oñ ko apnī muTThī meñ chhupā le jā.ūñgā
ḳhvāboñ ke dar-o-dīvār pe bhī chehre kī lakīreñ phaileñgī
yādoñ ke mahakte sāyoñ ko āñkhoñ meñ basā le jā.ūñgā
ai bād-e-havādis terī qasam maiñ haar na mānūñgā tujh se
maiñ apnī hathelī meñ rakh kar ik aur diyā le jā.ūñgā
haq-goī agar hai jurm to phir le jaao salīboñ tak mujh ko
suulī ke laTakte phandoñ tak maiñ apnī sadā le jā.ūñgā
kyā soch rahe ho ai logo ab pheñk ke patthar toḌ bhī do
varna maiñ badan ke shīshe ko phir aaj bachā le jā.ūñgā
'ḳhālid' maiñ kisī ke kūche se nākām umīdoñ ko le kar
ik roz badan se lipTā.e zaḳhmoñ kī ridā le jā.ūñgā
dariya ke dhaDakte sine tak sahil ki du'a le jaunga
haalat ki lahron par ek din main KHud ko baha le jaunga
main apne andhere kamre mein parchhain ugane ki KHatir
suraj ki shu'a'on ko apni muTThi mein chhupa le jaunga
KHwabon ke dar-o-diwar pe bhi chehre ki lakiren phailengi
yaadon ke mahakte sayon ko aankhon mein basa le jaunga
ai baad-e-hawadis teri qasam main haar na manunga tujh se
main apni hatheli mein rakh kar ek aur diya le jaunga
haq-goi agar hai jurm to phir le jao salibon tak mujh ko
suli ke laTakte phandon tak main apni sada le jaunga
kya soch rahe ho ai logo ab phenk ke patthar toD bhi do
warna main badan ke shishe ko phir aaj bacha le jaunga
'KHalid' main kisi ke kuche se nakaam umidon ko le kar
ek roz badan se lipTae zaKHmon ki rida le jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.