dariya ki tishnagi mein insan ki bebasi mein
dariyā kī tishnagī meñ insāñ kī bebasī meñ
paayā tujhe hai yārab dil kī shikastagī meñ
terī kamī satā.e har ġham meñ har ḳhushī meñ
rahtā hai aaj bhī tū is aañkh kī namī meñ
shāyad kabhī paḌe hoñ un par bhī paañv tere
chūmā hai pattharoñ ko ham ne tirī galī meñ
āñkheñ vo tere jaisī tujh sā hasīn chehrā
ham DhūñDte rahe haiñ tujh ko hī har kisī meñ
mujh par khulā nahīñ hai ye rāz-e-hast merā
kahne ko ḳhaak chhānī hai dasht-e-āgahī meñ
roiiñ bujhā ke mujh ko phir ġham-zada havā.eñ
maiñ sham.a-e-āḳhirī thī is shab kī tīrgī meñ
uktā ga.ī huuñ shāyad patthar kī mūratoñ se
lagtā nahīñ hai ab ye dil bhī sanam-garī meñ
qaid-e-hayāt par dil dīvāna-vār nāche
masrūr hai ki aayā terī supurdagī meñ
kāfir jo kah rahe the sab jānte the 'jīnā'
peshānī naqsh-e-pā pe rakkhī thī be-ḳhudī meñ
dariya ki tishnagi mein insan ki bebasi mein
paya tujhe hai yarab dil ki shikastagi mein
teri kami satae har gham mein har KHushi mein
rahta hai aaj bhi tu is aankh ki nami mein
shayad kabhi paDe hon un par bhi panw tere
chuma hai pattharon ko hum ne teri gali mein
aankhen wo tere jaisi tujh sa hasin chehra
hum DhunDte rahe hain tujh ko hi har kisi mein
mujh par khula nahin hai ye raaz-e-hast mera
kahne ko KHak chhani hai dasht-e-agahi mein
roin bujha ke mujh ko phir gham-zada hawaen
main shama-e-aKHiri thi is shab ki tirgi mein
ukta gai hun shayad patthar ki muraton se
lagta nahin hai ab ye dil bhi sanam-gari mein
qaid-e-hayat par dil diwana-war nache
masrur hai ki aaya teri supurdagi mein
kafir jo kah rahe the sab jaante the 'jina'
peshani naqsh-e-pa pe rakkhi thi be-KHudi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.