dariya mein kitabon ke utar kyon nahin jate
dariyā meñ kitāboñ ke utar kyoñ nahīñ jaate
gar 'ilm se ḳhālī ho to bhar kyoñ nahīñ jaate
ye rāste ulfat ke haiñ pur-ḳhār to hoñge
chhāloñ kā hai shikva to mukar kyoñ nahīñ jaate
kis vāste qistoñ meñ judā.ī kā julāpā
ik baar meñ hī dil se utar kyoñ nahīñ jaate
phaldār shajar ho ke bhī patthar se shikāyat
gar sabr nahīñ tum ko to jhar kyoñ nahīñ jaate
farhād nahīñ ho to pahāḌoñ pe chaḌhe kyoñ
majnūñ bhī nahīñ aap to ghar kyoñ nahīñ jaate
'sāhil' zarā tum pichhlī hī Thokar se sabaq lo
phir 'ishq meñ paḌte ho sudhar kyoñ nahīñ jaate
dariya mein kitabon ke utar kyon nahin jate
gar 'ilm se KHali ho to bhar kyon nahin jate
ye raste ulfat ke hain pur-KHar to honge
chhaalon ka hai shikwa to mukar kyon nahin jate
kis waste qiston mein judai ka julapa
ek bar mein hi dil se utar kyon nahin jate
phaldar shajar ho ke bhi patthar se shikayat
gar sabr nahin tum ko to jhar kyon nahin jate
farhad nahin ho to pahaDon pe chaDhe kyon
majnun bhi nahin aap to ghar kyon nahin jate
'sahil' zara tum pichhli hi Thokar se sabaq lo
phir 'ishq mein paDte ho sudhar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.