dariya miTa rahe the samundar miTa diya
dariya miTa rahe the samundar miTa diya
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
dariyā miTā rahe the samundar miTā diyā
ghar ghar ke khel meñ hamīñ ne ghar miTā diyā
dil ko saleT maan ke kārīgarī karī
phir ishq pe banā huā manzar miTā diyā
ham haath se miTā rahe the apne naqsh-e-pā
aise miTāyā phir ke muqaddar miTā diyā
vo kahte haiñ vo detā hai bhar bhar ke rahmateñ
mere ḳhudā ne to mirā chhappar miTā diyā
jo ret pe likhā thā vo hargiz miTā nahīñ
dīvār pe likhā huā aksar miTā diyā
dariya miTa rahe the samundar miTa diya
ghar ghar ke khel mein hamin ne ghar miTa diya
dil ko saleT man ke karigari kari
phir ishq pe bana hua manzar miTa diya
hum hath se miTa rahe the apne naqsh-e-pa
aise miTaya phir ke muqaddar miTa diya
wo kahte hain wo deta hai bhar bhar ke rahmaten
mere KHuda ne to mera chhappar miTa diya
jo ret pe likha tha wo hargiz miTa nahin
diwar pe likha hua aksar miTa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.