dariya nahin sarab hai maine kaha na tha
dariyā nahīñ sarāb hai maiñ ne kahā na thā
duniyā tilism-e-ḳhvāb hai maiñ ne kahā na thā
chhūnā use azaab hai maiñ ne kahā na thā
us kā badan rabāb hai maiñ ne kahā na thā
phir bhī tū us meñ bū-e-vafā DhūñDhtā rahā
vo kāġhazī gulāb hai maiñ ne kahā na thā
jo tere ird-gird havā.eñ haiñ un ke paas
har saañs kā hisāb hai maiñ ne kahā na thā
pachhtā rahā hai dost ko apne bulā ke ghar
vo fitratan ḳharāb hai maiñ ne kahā na thā
vo shah-savār hai jo ḳhushī kī talāsh meñ
ġham us kā ham-rikāb hai maiñ nai kahā na thā
mar.ūb aap kyoñ hue us ke ḳhitāb se
māñgā huā ḳhitāb hai maiñ ne kahā na thā
paḌh kar sañvar sakā na koī aaj tak jise
vo fāltū kitāb hai maiñ ne kahā na thā
kal jis ko dekhne meñ ga.ī raushnī tirī
'ashraf' vo āftāb hai maiñ ne kahā na thā
dariya nahin sarab hai main ne kaha na tha
duniya tilism-e-KHwab hai main ne kaha na tha
chhuna use azab hai main ne kaha na tha
us ka badan rabab hai main ne kaha na tha
phir bhi tu us mein bu-e-wafa DhunDhta raha
wo kaghazi gulab hai main ne kaha na tha
jo tere ird-gird hawaen hain un ke pas
har sans ka hisab hai main ne kaha na tha
pachhta raha hai dost ko apne bula ke ghar
wo fitratan KHarab hai main ne kaha na tha
wo shah-sawar hai jo KHushi ki talash mein
gham us ka ham-rikab hai main nai kaha na tha
marub aap kyon hue us ke KHitab se
manga hua KHitab hai main ne kaha na tha
paDh kar sanwar saka na koi aaj tak jise
wo faltu kitab hai main ne kaha na tha
kal jis ko dekhne mein gai raushni teri
'ashraf' wo aaftab hai main ne kaha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.