dariya-o-mauj sa kabhi humse juda na ho
dariyā-o-mauj sā kabhī ham se judā na ho
ai but ḳhudā talak bhī tirā āshnā na ho
mahfil meñ is parī kī jo ye dil-jalā na ho
yārab sharāb-e-nāb meñ hī kuchh mazā na ho
us sabz ḳhat ke bose liye maiñ ne ḳhvāb meñ
yārab ġhubār dil meñ kahīñ aa gayā na ho
pilvā rahe ho rū-ba-rū ġhairoñ ko jām-e-mai
aur kahte ho mujhe to mirī jaañ ḳhafā na ho
merī ravish pe kis liye bahkā hai kyā huā
majnūñ se kah do chup bhī ho yuuñ bāvlā na ho
nik.hat se mushk-o-itr kī duniyā mahak ga.ī
paanī nahāne meñ tirā juuḌā khulā na ho
mar hī gayā udhar jo mirā nāma-bar gayā
qāsid ḳhudā ke vāste tū bhī fanā na ho
baḳht-e-siyah zalīl hameñ yuuñ bhī karte haiñ
jis shab vo aa.e ghar ko usī shab diyā na ho
laala ho arġhavāñ ho suḳhan ho gulāb ho
champā ho yāsman ho magar dīliyā na ho
āb-e-ravāñ ho chāñdnī ho sabza-zār ho
nargis kī tarah ġhair koī dekhtā na ho
saaqī ho mai ho gaa.eñ parī-zād sab bahār
sāġhar se jald chalne meñ charḳh-e-dutā na ho
pariyoñ kā raqs rū-ba-rū hotā rahe mudām
pahlū se yaar lab se piyāla judā na ho
sāmān-e-aish gar ye mayassar ho ai 'nasīm'
haT-dharmī hai zabāñ pe jo shukr-e-ḳhudā na ho
dariya-o-mauj sa kabhi hum se juda na ho
ai but KHuda talak bhi tera aashna na ho
mahfil mein is pari ki jo ye dil-jala na ho
yarab sharab-e-nab mein hi kuchh maza na ho
us sabz KHat ke bose liye main ne KHwab mein
yarab ghubar dil mein kahin aa gaya na ho
pilwa rahe ho ru-ba-ru ghairon ko jam-e-mai
aur kahte ho mujhe to meri jaan KHafa na ho
meri rawish pe kis liye bahka hai kya hua
majnun se kah do chup bhi ho yun bawla na ho
nikhat se mushk-o-itr ki duniya mahak gai
pani nahane mein tera juDa khula na ho
mar hi gaya udhar jo mera nama-bar gaya
qasid KHuda ke waste tu bhi fana na ho
baKHt-e-siyah zalil hamein yun bhi karte hain
jis shab wo aae ghar ko usi shab diya na ho
lala ho arghawan ho suKHan ho gulab ho
champa ho yasman ho magar diliya na ho
aab-e-rawan ho chandni ho sabza-zar ho
nargis ki tarah ghair koi dekhta na ho
saqi ho mai ho gaen pari-zad sab bahaar
saghar se jald chalne mein charKH-e-duta na ho
pariyon ka raqs ru-ba-ru hota rahe mudam
pahlu se yar lab se piyala juda na ho
saman-e-aish gar ye mayassar ho ai 'nasim'
haT-dharmi hai zaban pe jo shukr-e-KHuda na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.