dariya ruka hua tha magar main safar mein tha
dariyā rukā huā thā magar maiñ safar meñ thā
ik raushnī kā aks bhī mere hunar meñ thā
oḌhā huā thā sach kā labāda vajūd ne
lekin shu.ūr jhuuT ke andhe nagar meñ thā
har rāste kī dhuul paroñ meñ sameT kar
anjān manziloñ kā parinda safar meñ thā
bāzār meñ thī hañste charāġhoñ kī raushnī
bujhte hue diye kā dhuāñ mere ghar meñ thā
kanda thā ḳhvāhishoñ kā fasāna fasīl par
zinda haqīqatoñ kā lahū ik khañDar meñ thā
utrī thī raat shahr meñ aañsū liye hue
ik qāfila sahar kā kahīñ rahguzār meñ thā
'tāhir' mire vajūd kī bolī to de gayā
shāyad vo apnī zaat ke nīlām-ghar meñ thā
dariya ruka hua tha magar main safar mein tha
ek raushni ka aks bhi mere hunar mein tha
oDha hua tha sach ka labaada wajud ne
lekin shuur jhuT ke andhe nagar mein tha
har raste ki dhul paron mein sameT kar
anjaan manzilon ka parinda safar mein tha
bazar mein thi hanste charaghon ki raushni
bujhte hue diye ka dhuan mere ghar mein tha
kanda tha KHwahishon ka fasana fasil par
zinda haqiqaton ka lahu ek khanDar mein tha
utri thi raat shahr mein aansu liye hue
ek qafila sahar ka kahin rahguzar mein tha
'tahir' mere wajud ki boli to de gaya
shayad wo apni zat ke nilam-ghar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.